Kai dino se soch raha tha ki patrakaron ka kaam kya hota hai? kya ye ek aisa proffesion hai jahan aap auron se behtar samajhte hain khud ko...complacency lani padti hai ki khud hi aa jati hai..aap kise khush karne ki koshish karte hain? khud ko kar pate hain? jo khud ko bahut bada top samjhte hain wo kitna khush hain apne kaam se? unki jindgi kaisi hai? fir woh print ke hon ya electronic ke,, koi farq nai padta hai janab..khali hai...sab khali hai...kahi trp to kahi circulation ka khel hai....aur hum sab us khel ke liye pyade mukarrar kiye gaye hain...kabhi nai socha tha ki hum jis patrakarita ke sapne sanjote the wo is kadar mitti me mil jayenge...aur rah jayenge to sirf gubar aur khwab...????
antas viram...........
2 comments:
aur un baton ka kya jo hum khud se bhi nai kah pate. humara man humse bar-bar unhe karne ki khwahish karta hai aur har bar hum use peche dhakel dete hain. aise me wo lines jo mujhe har bar yad ati hain-----kai bar yuhi dekha hai, ye jo man ki seema rekha hai, man use todne lagta hai. anjani aas ke peeche, anjani pyass ke peeche man dodne lagta hai..
jab pehli bar socha tha is profession me ane ke liye..... bht armaan the dil mein....duniya badalne ki khwahish thi....josh aaj bhi hai....wo jazba aaj bhi hai par ye alag bat hai ki aaj hum us mahaul ko thoda bht jante hai....yahan ki sachaiyo ko jana hai....samjha hai ki hai to ye bhi profession hi....acha kahe ya bura hum sab aur professions ki tarah hi money minded hai...koshish sirf itni hai aur rahegi ki paise ki is chaya ko hum apne kaam pr haawi na hone de.....
Post a Comment