Zindagi jane kis or ja badh rahi hai. jane humne kya gunah kiye ki khushiyan paas aane ko taiyaar nahin hain. humne to hamesha e hi khushiyan mangi hain. 18 baras hone ko hain..maine khuda se har aarzu, har tamanna, har chaah aur har prarthana me ek hi cheez mangi hai . lekin dil, dimag aur taqdeer gam ka haath pakad ke mere hath me jabardasti thama dete hain. hum aaj tak apni galti nai jaan paye. jaan se jyada mehnat ki hai. Apni aukat se jyada logon ki madad ki. Aaj lagne laga hai ki jindagi sapnon ke vayas ho chali hai. har raat sapne dekhte khatm hoti hai aur har din sapnon ko amlijama pahnane me gujar jate hain. na kisi ke liye jeene ka man karta hai na khud ke liye. shyad khuda ko hamara dard nahin dikhta. wo bhi wahi dekhta hai jitna duniya ka koi aur bashinda. uski aur meri relationship pe shyad ye lines fit baithti hain.
"ankhon me hain aansu..honthon pe dard soya hai
dekhne wala kya jane ki hansne wala kitna roya hai."